Your's most Welcome in AllHindieducation.in

This is an Hindi Education Website. You can Easily Read Post in Hinglish Language.


We will provide you all information in Hindi. Find out more...


You can learn about the following topics in Hindi Language

  • Computer
  • Google adsense
  • Internet
  • Technology
  • Tips and Tricks
  • Youtube Etc..
by

How to get more views on youtube video in Hindi

Youtube ek Aisa Platform Hai Jahan Par Koi Bhi Apni Video Banakar upload kar sakta hai.

Youtube par Video upload karna zyada mushkil kaam nahi lekin sawal to ye hain ham jo video upload kar rhe hain usko zyada log kaise dekhen? Kyunki agar Ham koi video upload karte hain or usko koi na dekhe to hamare video upload karne ka koi fayda nahi.

Youtube par bahut se aise channels bhi  hain jahan video upload karne ke ek Ghante me Hazaro views aa jate hai. Youtube video upload karne ka koi charge nhi leta yahan aap free me unlimited videos upload kar sakte hain or aap youtube se unlimited earning bhi kar sakte hain ye koi mushkil kaam nhi.
  • Sirf 5 Minutes Me Google Adsense Ka Pin Verify Kaise Karen 
How to get unlimited views on your youtube videos

Video upload karne se pehle ye steps follow karen.

Step 1. Rename video file before upload.
Video ko upload karne se pehle rename zaroor kar le jaise apki video ka name movies.flv, movies.mp4 etc hai. To aap usko hindieducation.mp4, hindieducation.flv etc kar sakte hain.

Step 2. Always create short video.
Jis topic par bhi aap video bana rhe hain usme kam se kam time me poori jankari den. Kyunki video ka length dekhkar hi kuch log video ko dekhna pasand nahi karte. To jitna ho sake short and effective video banayen.

Step 3. Make effective title for youtube video.
Video upload karne se pehle video ka title aisa rakhen jo internet par zyada search kiya jaata ho. Video par title dalne se pehle usko internet par search karke dekh le. Pehle se se koi video youtube par hai. Title hamesha aisa rakhe jisko padkar koi bhi viewer video ko bina dekhe na reh paye. Title hi aisi chiz hai jiske zariye log aapki video par aate hain to title ka khas dhyan rakhe.

Step 4. Set custom thumbnail on your video.
Youtube par views badane ka ye sabse achcha tarika hai jisse aap custom thumbnail add karke logo ko attract kr sakte hain. Jo video apne banai hai uske liye ek thumbnail (image) banaye. Kyunki bahut se viewers aise hote hain jo apki video par lage thumbnail ko dekhkar aapki video par aa jate hain.

Step 5. Write a good description.
Jis video ko aap upload krne ja rahe hain uske baare me thoda detail me description me likhen.
Video kis topic par hai. Kya kya aapki video me bataya gya hai. Kyunki description ek aisi chiz se jisme likhe huye word ko aap search karenge to bhi apki video search me aa jayegi. Simple si baat hai jo bhi aap description me likhenge uske dwara bhi aap apni video youtube par search kar sakte hain. Description me aap keywords ka istemal kar sakte hain.

Step 6. Put right tags on youtube video
Youtube par video upload karte time aap Tags ka option khali na chhode balki usme apni video se related tag likhe ye bhi apki video ko search engine me dikhne me help karega.

Step 7. Don’t forget to share video on social media
Video upload karne ke baad aap usko social media jaise facebook twitter par share zaroor karen. Kyunki social media par share karne ke turant bad hi hamari video par views milna shuru ho jate hain. Apni video or youtube channel ko, promote karne ka sabse achcha tarika social media hai. To specially facebook par share karna na bhoolen.
Finally Jo Bhi Upload Karen Achchhe se karen. Mehnat Karoge to Safalta bhi Milegi. Apne Sujhao Questions Aap Hame Comments ke Zariye de Sakte Hain.

Dhanyavad.

3 comments: