Your's most Welcome in AllHindieducation.in

This is an Hindi Education Website. You can Easily Read Post in Hinglish Language.


We will provide you all information in Hindi. Find out more...


You can learn about the following topics in Hindi Language

  • Computer
  • Google adsense
  • Internet
  • Technology
  • Tips and Tricks
  • Youtube Etc..
by

Easy way to use Mutiple application on your Smartphone.

Aaj Main Aapko Ek New Jaankari Batane Ja Raha Hun Aapne internet par aise bahut se article pade honge jahan par 2 whatsapp accounts use karne ka tarika bataya gya hai lekin yahan ham apko batane ja rhe hain ki kaise aap apne smartphone me unlimited whatapp accounts use kar sakte hain.

Multiple app use on android
Use Mutliple Application on Single android
Multiple Whatsapp Account Kyun Chalayen.

Ek se Adhik whatsapp account chalane ki zaroorat aajkal zyada padti hai. Kyunki aajkal sabhi log apne phone me dual sim ka istemal kar rhe hain.
Or Jab aapke dono number bat Jate hain Toh Hamare mind me khyal aata ki agar dono number se whatsapp account hota to achchha rehta.

First Download Parrel Space Application from Google Play store

Agar apke phone me pehle se whatsapp install hai uske baad aap ek or whatsapp account apne phone me istemal karna chahte hain to aapko apne phone me Parrel Space naam ki application download karna hogi jiski sahayta se aap do whatsapp apne phone se use kar sakte hain.

Use 3 Whatsapp Account in single device

Ab aapke man me ek our sawal aaya hoga ki ham 2 se zyada whatsapp account kaise chalaye. Aaiye jante hain.

Iske liye aapko apne phone se 2 accounts naam ki application playstore se fir se download karna hogi. Ab isse bhi aap ek naya whatsapp account use kar sakte hain. Aise hi aap lagbhag 10 whatsapp account bhi istemal kar sakte hain.

Effects of Multiple Account in Your Android.

Dosto agar aap ek hi chiz par itna zyada load daal denge to zahir si baat hain aapka phone bhi hang kar sakta hai, isliye main aapko suggest karunga ki sirf 2 se zyada whastapp account apne phone me na use karen, yahan par education purpose ke liye ye jaankari di gyi hai agar zyada accounts use karenge to problem aapko hi aa sakti hai.

May i use multiple facebook on android phone,

G Haan Bilkul Jo Aapko Upar trick batai gyi hai is trick se aap apne phone ki sabhi application double use kar sakte hain or sab me alag alag id bana sakte hain. Or sab ko eksath use kar sakte hain jisse aap dono applications par ek sath online reh sakte hain.

Double application use karne ke fayde

Kuch application aisi hoti hain jispar new users ko kuch alag benifit diya jata hai.
Example ke hisab se ham baat karte hain freerecharge aap ki jispar apko 50Rs cashback milta hai first recharge par isi tarah aap app ko double bana kar usse double fayda utha sakte hain.
Ye aapke upar hai aap kaise uska use kare.

Niche comment box me apne doubts hamse share karen.

1 comment: